Archive for the 'Eid' Category

Jugnoo Ka Dastarkhwan

Eid Dish

Assalamo alaikum w.w

Umeed karta hoon k app sab theek thak hon ge aur jhoob posts lkhi hon gee lakin ek main he nikama hoon jo sab se peeche reh gaya, per phir b aaj mujhe pata chala hai ke main ne ek blogger ka record tora hai to khushi se meri ankhain beegh gain (kyun k main face wash kar raha tha). Baat ho rahi thee the record ke to khawab ne mujhe bataya k main ne post delay karne ka un ka record tora hai to main ne soch chalo record to naam ho gaya ab kuch kaam b ho jae. Finally i am back with a post through which i am going to show my sweet dish of eid, which is “Sheer Khurma”. Eid ka din ho app soye hue hon aur koi app se blanket uthay aur kahe k sawayan pakao to app samajh sakte hain ke kya haal ho sakta hai. Mere dost eid ke din mere room mein aa kar gunda gardi karne lage aur meri cheezian utha utha kar idher udhar phaink rahe the k sawayan pakao warna tumhara kamra kachre ka dher bana dein ge. Marta kya na karta, itni mushkil se bahir se sab samaan ikhata kiya aur phir sawayan tayar keen aur un ko serve keen. Before i serve them i thought i should decorate my dish & should take a picture for blogging. I took one but couldnt post it due to some personal prob. Lakin i am f9 sh9 now and posting it for you guys to have a look over it. If any one wants recipe, just let me know. I am sure you will like it coz it was really delicious & yummy yummy. Boss is calling so gotta go…………………… bye shy. Cya

Check out lilttle Video of Eid Sweet Dish

Dual Greetings

Dual Greetings, originally uploaded by zeeimran420.

Eid Mubarak to all of Muslim community in every part of the world & a very happy new year to every one in every part of the world.

Hitler 2

Assalamo alaikum w.w

Today i am writing about “Hitler II” who is none other than my mamoon named “rasheed”. Its my good luck ke mera visa unhon ne issue karwaya lakin yeh meri bad luck bhi thee k mujhe un ke saath rehna tha. Un ke kuch khoobian app ko bata doon baqi baat baad main.

1. room main enter ho to kaho assalamo alikum (jis ke liye i dont mind, pehlay se he adat hai)

2. Agar room ke bahir niklo wo chahe toilet ya phir kitchen to salam aur jab wapis ana hai phir bhi salam. 😦

3. Khana bed par nahi khana, carpet per paper bichao aur khao

4. daily question, namaaz padi? kyun nahi padi? jahanum mein jao ge tum, tumhari bakhshish nahi ho gee, jahanum main saro ge & tum kabhi kamyab nahi ho sakte.

5. Agar mera cousin room main nahi to khana nahi khana, sab ek saath khain ge. (bhook se bura haal aur intezar)

6. har waqt apna islamic knowledge sab ko batatay rehna jo ke 3 ya 4 Ahadith aur verses ke translation hai.

7. Agar main “The Musik” laga ker dekhna start karoon to uth kar GEO ya QTV laga dein ge.

8. Mera raat 9:30 pm ke baad room se bahir jana doubtful aur daily lecture

9. Mere doston ke investigation

10. Agar ghalti se mera koi dost aa gaya to us ko muslim bananay ke koshish (LOL) 😉 aur meri insult kerna un ke samne

This was eid day & i was much upset for my brother’s joblessness aur raat ko hum dono bhai ghar walon ko yaad karaty hue almost 11:00pm soye aur soney se pehlay apne “Eid dress” (jo ammi ne buhat pyar se silwa kar send kiye thay. Bhai ne to wo suit buhat dafa try kar lia hai lakin mera waisay he hang kar ke cupboard mein hr rakha hua hai) ko laundry se press karwa kar hang kar ke rakh dia aur unluckily mujhe Eid ke namaz ka time nahi pata tha which i came to know later 6:00am. Mere mamoon namaz parney jaa chukey thay lakin hum dono soye rahay. Mera bhai to 7:3o am uth gaya aur mujhe hila raha tha k namaz ka kya time hai. Lakin mujhe koi hosh nahi tha, wo chup kar ke window se bahir dekhne laga to us ko pata chala k namaz ho chuki thee. Itne mein mere mamoon room main tashreef le kar aye aur mere bhai se pooch ” Namaz padi ke nahi?” reply was no. Lecture was controled bcoz i was yet to wake up.

I was listening all lakin intezar kar raha tha k kab mamoon kisi ko eid milne jain aur main uth jaoon lakin badluck again. 😀 mere idiot friends mujhe Eid Mubarak kehne room main aa gay. Ab to mujhe majbooran uthna tha aur ghalti se main apne doston ko mila aur Ghalti se mamoon ko Eid Mubarak keh dia aur bhoooooooooooooooooommmmmmmmmmmm……..

Tum jahanum main jao ge putar, teri bakhshish nahi honi, tu had haram, nikama & xyz. I came to know that time ke kuch paka hua nahi tha Eid Breakfast ke liye aur mamoon umeed kar rahay they ke main ne sawayan paka kar rakhi hon gee.

Mere kameenay dost has rahay they chori chori aur i controled my emotions aur sawayan paka kar mamoon ko deen aur naha kar old clothes he pehnay aur apne doston ko le kar bahir nikal gaya. Aur ALLAH ka lakh lakh shukar hai ke mera bhai job per lag gaya hai aur hum dono ab seprate room mein rehtay hain. Aur daily lectures se free ho gay hain lakin ab jab b mamoon ke room ke taraf jata hoon bara careful ho kar baat karta hoon aur thori der baad khud he ringtone play karta hoon aur mamoon se kehta hoon my brother is calling. ALLAH HAFIZ aur ………. shukar ka klma parta hua room mein aata hoon.

This was my fifth eid here in Kuwait But next two eids i will celebrate with my family. Insha Allah. aur kisi bhi eid par main khush nahi tha aur ghar walon ko buhat miss kar raha tha.

                            Eid ke din be nashaate zindagi haasil nahi

                            wo eid he kya jis mein meri family shamil nahi

Eid Greetings

Eid Greetings, originally uploaded by lucky_khan.

Back to Home

Back to Home, originally uploaded by lucky_khan.

A large number of people gathered to get the advance booking in the trains at Cantt Railway Station for the upcoming Eid-ul-Fitr will be celebrated at the end of Holy fasting month of Ramzan.


Visit Pakistani Pictures

pakpics1-copy.jpg

Majo 2024
l m k ĵ v s d
 12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031  

Blog Stats

  • 146.209 hits
I'm the 824,785,999 richest person on earth!


Discover how rich you are! >>

My Pakistan


My blog is worth $1,129.08.
How much is your blog worth?